Beauty Tips Desi Totkay aur Gharailu ilaaj icon

Beauty Tips Desi Totkay aur Gharailu ilaaj

★★★★★
★★★★★
(0.00/5)

1.0Free5 years ago

Download Beauty Tips Desi Totkay aur Gharailu ilaaj APK latest version Free for Android

Version 1.0
Update
Size 47.81 MB (50,129,344 bytes)
Developer Chilpill
Category Apps, Beauty
Package Name com.wBeautyTipsDesiTotkayAurGhareluilaaj_8100509
OS 4.1 and up

Beauty Tips Desi Totkay aur Gharailu ilaaj APPLICATION description

Hamari jild ko naram o mulaim aur khubsurat rehne ke liye munasib nami ki zaroorat hoti hai. Agar kisi wajah se nami ki munasib miqdaar jild ko muyassar na ho to is ki saakht khushk ho jati hai. Baaz mard o khawateen ki jild qudrati tor par khushk hoti hai jo koi sangeen masla nahi hai.

Jild ko khushk aur khrdri banane mein ziyada tar mousmi asraat, ghair munasib care creams, lotion ya sabun ka istemal, jism mein pani, vitamins ki kami, harmons aur ghair munasib khurak ka istemal waghera shamil ho satke hain. Agar khushk jild ki munasib dekhbhal na ki jaye to waqt ke sath sath jild badsoorat, khurdri aur jhuriyon ka shikar ho jati hai.



Ziyada tar mard o khawateen ki jild khushk sakht ki hoti hai, agar aap bhi un mein shamil hain to mandarja zail mein aap mukhtalif beauty tips aur gharelu totkay bataye gaye hain jin ki madad se aap dry skin ki munasib dekh bhaal ke ilawa apni jild ki khubsurti ko char chand laga sakte ya sakti hain

Khushk jild (Dry Skin) bhi amooman normal jild ki manind hoti hai, aisi jild ki munasib dekh bhaal aik ahem tareen marhala hai. Khushk jild ki munasib dekh bhaal ke liye mandarja zail tips par amal karen.



Tips # 1
Jild ki khushki aur rookha pan dorkrne ke liye qudrati zaraye ka istemaal mufeed aur karamad sabit hota hai. Iss liye apni roz marah ki ghiza mein taaza phalon aur sabziyon ka istemal yakeeni banayen taake qudrati khwark par inhisaar karte hue jild ki khushki ko dur kiya ja sake.



Tips # 2
Khushk jild ke liye aisi creams aur lotions istemaal karen jin mein moisturizing ajzaa ki waafar miqdaar mojood ho. Iss se nah sirf jild naram o mulaim rahay gi balkay jald mousmi asrat se bhi mehfooz rahay gi. Iske ilawa khushk jild ke liye sun screen kaa stamal har mausam mein kiya jana chahiye.
↓ Read more
Beauty Tips Desi Totkay aur Gharailu ilaaj screen 1 Beauty Tips Desi Totkay aur Gharailu ilaaj screen 2 Beauty Tips Desi Totkay aur Gharailu ilaaj screen 3 Beauty Tips Desi Totkay aur Gharailu ilaaj screen 4 Beauty Tips Desi Totkay aur Gharailu ilaaj screen 5 Beauty Tips Desi Totkay aur Gharailu ilaaj screen 6 Beauty Tips Desi Totkay aur Gharailu ilaaj screen 7 Beauty Tips Desi Totkay aur Gharailu ilaaj screen 8